Barabari / Kajal

Barabari ka ehsaas hota hai jab Mummy mujhe aur meri behen ko same paise deti hain

Ghair-barabari ka ehsaas hota hai jab Mummy bhai ko ghoomane le jaati hain aur mujhe nahin

Barabari ka ehsaas hota hai jab mera aur meri dost ka same number aata hai

Ghair-barabari ka ehsaas hota hai jab 15 August ko Sir ladkiyon ko stage pe jaane ka chance nahin dete 

Barabari ka ehsaas hota hai jab building ke jhagde mein hamare floor-wale hamara saath dete hain

Ghair-barabari ka ehsaas hota hai jab padosi hamare tyoharoon mein shaamil nahin hote

Barabari ka ehsaas hota hai jab sab log vote daalne jaate hain

Ghair-barabari ka ehsaas hota hai jab koi kehta hai – “Isse baat mat karo, yeh chhoti jaati ki hai”

Barabari ki duniya mein kaash koi sharminda nahin hota


बराबरी का एहसास होता है जब मम्मी मुझे और मेरी बहन को शामे पैसे देती हैं

ग़ैर-बराबरी का एहसास होता है जब मम्मी भाई को घुमाने ले जाती हैं और मुझे नहीं

बराबरी का एहसास होता है जब मेरा और मेरी दोस्त का same नंबर आता है

ग़ैर-बराबरी का एहसास होता है जब 15 अगस्त को सर लड़कियों को स्टेज पे जाने का चांस नहीं देते

बराबरी का एहसास होता है जब बिल्डिंग के झगडे में हमारे फ्लोर-वाले हमारा साथ देते हैं

ग़ैर-बराबरी का एहसास होता है जब पड़ोसी हमारे त्योहारों में शामिल नहीं होते

बराबरी का एहसास होता है जब सब लोग वोट डालने जाते हैं

ग़ैर-बराबरी का एहसास होता है जब कोई कहता है – “इससे बात मत करो, यह छोटी जाति की है”

बराबरी की दुनिया में काश कोई शर्मिंदा नहीं होता


Equality is – when Mummy gives my sister and I the same amount of money

Inequality is – when Mummy takes my brother out visiting but not me

Equality is – when my friend and I get the same marks

Inequality is – when Sir does not give girls a chance to go on stage on Aug 15

Equality is – when there’s a fight in the building and the people on our floor support us

Inequality is – when our neighbours don’t celebrate our festivals with us

Equality is – when everyone goes to vote

Inequality is – when someone says “Don’t talk to her, she’s from a lower caste!”

I wish – for a world that was equal in which no one was shamed